Saturday, September 25, 2010

Meri Maiyat Mai Aap Aao To,
Meri Ruh Ko Kuchh Lamha Shukun Mile.

Thode Phul Bhi Agar Chadha Jaao To,
In Saanso Ko Fir Se Chalne Ka Zunun Mile

Shayad Zinda Bhi Ho Jaau Tera Shara Lekar,
Dekh Lu 1 Nazar, Rago Ko Naya Khun Mile.

Hamne Socha Ke Ek Ham Hi Akele Hai,
Raaste Mai Par Kitne Aashiq Tere Marhoom Mile
Rehtey Hain Saath Saath Mai Aur Meri Tanhai
Kartey Hain Raaz Ki Baat Mai Aur Meri Tanhai

Din To Guzar Hi Jata Hai Logon Ki Bheer Mai
Kartey Hain Basar Raat Main Meri Tanhai

Saanson Ka Kya Bharosa Kab Chor Jain Saath
Laikin Rahain Gay Saath Main Aur Meri Tanhai

Aaye Na Tumhe Yaad Kabhi Bhul Kar Bhi Hum
Kartey Hain Tumhe Yaad Main Aur Meri Tanhai

Aa Ke Paas Kyon Door Ho Gaye Hum Se
Kartey Hain Teri Talash Main Aur Meri Tanhai
Tumne Jo Meri Kabr Par, Aakar Yun Muskura Diya
Bijli Chamak Kar Gir Padi, Sara Kafan Jala Diya……
Main So Raha Tha Chain Se, Yun Hi Kafan E Mazaar Mein,
Yahan Bhi Sataane Aa Gaye, Kisne Pata Bata Diya……
Tumne Chadhaye Phool To, Ehsaan Kya Kiya
Humne Tumhare Ishq Mein, Sara Chaman Luta Diya…..
Pucha Na Jeete Ji Kabhi, Dard E Dil Ka Haal
Aaye Ho Kabr Par Meri, Mitti Mein Jab Mila Diya…..
Aaye Ho Mazaar Par Mere, Dekh Liya Ab Mera Haal
Thukra Ke Mere Pyar Ko, Kisi Aur Ko Apna Bana Diya….
Ab Ho Gaya Hai Ilm Tumhein, Ek Shikayat Meri Jaan Lo
Kiya Jo Hashar Tumne Mera, Apno Ko Begana Bana Diya….
Main To Kafan Mein Hoon Ab, Meri Baat Aur Hai,
Karna Na Unka Haal Wo Ab, Jo Haal Mera Tumne Bana Diya….
Tumne Jo Meri Kabr Par, Aakar Yun Muskura Diya
Bijli Chamak Kar Gir Padi, Sara Kafan Jala Diya…..!!
Aaj Kuch Aisa Gujar Gaya, Dil Toot Kar Bikhar Gaya
Dard Kuch Itna Bara, Hadd Se He Gujar Gaya
Ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha Karna
Taron Mein Hansa Karna, Phoolon Mein Khila Karna
Jab Se Tumhein Dekha Hai, Jab Se Tumhein Paya Hai
Kuchh Hosh Nahin Mujhko, Ek Nasha Sa Chhaya Hai
Ab Baat Jo Karni Ho, Aankhon Se Kaha Karna
Aey Kaash Dharkta Dil, Kuchh Der Thahar Jaaye
Ye Raat, Mohabbat Kii, Yunhii Na Guzar Jaae
Baqi Hai Abhii Tum Par, Ye Jaan Fidaa Karnaa
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna
Kismat Na Dikhaye Ab, Ghariyaan Hamein Furaqat Ki
Har Raat Yuunhi Chamake,Taqadir Mohabbat Ki
Aey Chand Sitaaro Tum Mil Jul Ke Duaa Karna
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna
Jab Naam Tera Pyar Se Likhti Hain Ungliyaan


Meri Taraf Zamanay Ki Uthti Hain Ungliyaan

Daaman Sanam Ka Haath Main Aya Tha Aik Pall


Din Raat Us Aik Pall Se Mehekti Hain Ungliyaan

Jis Din Se Duur Ho Gaye Us Din Se He Sanam


Bas Din Tumharay Aanay Kay Ginti Hain Ungliyaan

Pathar Taraash Kar Na Bana Taaj Ek Naya


Fankaar Ki Zamanay Main Kat’ti Hain Ungliyaan
Kabhi Bichhde To Kabhi Mulaqat Hai,
Kabhi Rangeen Sham, Kabhi Gam Ki Raat Hai
Waqt Par Sath Nahi Deta Ye Waqt Bhi,
Waqt Ki Lagti Buri Bas Yahi Baat Hai
Bas Isi Baat Se Main Pareshaan Hun,
Samajhtaa Nahi Kyon Wo Jazbaat Hai?
Jo Usne Diya Hai To Chheenega Kaun?
Har Saans Khuda Ki Hi Saugaat Hai
Bure Kaam Se Ab To Kar Le Tu Tauba,
Warna Ik Din Honi Teri Maat Hai
Ye Hum Bhi Gawaara Karte Hain
Yeh Tum Bhi Gawaara Kar Lena

Ro Ro K Guzaari Hai Hum ne
Tum Hans k Guzara Kar Lena

Betaabi Had Se Barh Jaye
Aur Neend Na Aaye Raaton Ko

To Doob K Meri Yaadon Mai
Dunya Say Kinaara Kar Lena

Jis Waqt Janaza Guzre Ga
Us Shakhs Ka Tere Koochey Se

Jazbaat Pe Kaboo Kar Lena
Khirki Se Nazara Kar Lena

Friday, September 24, 2010

Voh Jab Kabhi Yaadon Se Presaan Honge,
Apni Bewafai Per Khud Hi Presaan Honge.

Yaad Karke Apne Sitam, Jhukegi Unki Nazar,
Mere Armaano Ke Phool Unke Humjuban Honge.

Fir Voh Chhat Per Aayenge Aur Dhundhenge Mujhe,
Akelepan Mein Aansoo Aankhon Se Rava Honge.

Yaad Karke Mere Pyar Ko Royenge Yakinan,
Har Aansoo Mein, Mere Hi Tadpate Armaan Honge.












Unki Aankhe Hume Apni Zindagi Lagti Hai
Unki Saanse Hume Apni Bandagi Lagti Hai
Ashiqi Mein Unki Humara Haal Kuch Iss Tarah Hua Hai
Ki Ab Toh Unki Nafrat Bhi Humme Mohabbat Si Lagti Hai

Anjaan Hai, Anjaan Hi Rahne Do
Kisi Ki Yaado Me Pal Pal Yun Hi Marne Do
Kyoun Badnaam Karte Ho Humara Naam Leke
Ab Toh Iss Naam Ko Benaam Hi Rahne Do
Jab Uski Dhun Mein Raha Karte The
Hum Bhi Chup Chap Jiya Karte The
Aakhon Mein Pyas Hua Karti Thi
Dil Mein Tufaan Utha Karte The

Log Aate The Gajal Sunne
Hum Uski Baat Kiya Karte The
Sach Samajhte The Uske Vado Ko
Raat Din Ghar Me Raha Karte The

Kisi Viraane Mein Usse Milkar
Phool Khila Karte The
Ghar Deewar Sajaane Ki Khaatir
Hum Naam Unka Likha Karte The

Kal Usko Dekhkar Yaad Aaya
Hum Bhi Kabhi Mohabbat Kiya Karte The
Garmi Hasrate Na Kaam Se Jal Jati Hai,

Ham Charago Ki Tarah Shaan Se Jal Jate Hai,

Shama Jis Aag Me Jalti Hai Numaish Ke Liye,

Hum Ussi Aag Me Gum-Naam Se Jal Jate Hai,

Jab Bhi Aata Hai Tera Naam Mere Naam Ke Sath,

Jane Kyu Log Mere Naam Se Jal Jate Hai.
Khawabo Me Aana, Ninde Udana

Dil Ko Dhadkana, Dil Ko Tadpana

Kaha Se Sikha Tumne O Jana

Ek Pal Me Aana, Ek Pal Me Jana

Dil Ko Jalana, Dil Ko Tarsana

Kaha Se Sikha Tumne O Jana

Ye Dil Ki Khamoshi, Ye Teri Nigahe

Yu Chhup Chhup Ke Dekhe, Fir Njre Churaye

Kaha Se Sikha Tumne O Jana
Har Ghadi Ab Unki Awaj Sunne Ko Bekarar Rehte Hain
Shayad Isi Ko Duniya Me Pyar Kehte Hain

Kate Se Bhi Jo Na Kate Waqt
Usi Ko Mohabbat Me Intazar Kehte Hain

Dil Ke Pas Rehkar Bhi Jo Duri Rahe
Usi Ko Shayad Faslo Ki Deewar Kehte Hain

Aankh Band Karte Hi Nazar Aye Chehra Jiska
Usi Ko Mohabbat Me Sukun E Didar Kehte Hain

Koi Kisi Bhi Nam Se Pukare Tujhe Hame Farq Padta Nahi
Hum To Tujhe E Humsafar Apna Pyar Kehte Hain

Chand Ki Chandni Se Bhi Hai Jo Khubsurat Phulo Si Najuk Hai
Hum To Use Baharo Ka Nikhar Kehte Hain

Ki Duao Me Bhi Jiska Chehra Najar Ane Laga Ab
Usi Ko To Hum Sukun E Dil Etbar Kehte Hain

Ghul Jati He Jindagi Me Khusiya Jiski Awaj Sunkar
Ab Hum Usi Ko Apna Khuda Or Pyar Kehte Hain
Har Aah Tabasum Ban Jaye
Har Ashq Sitara Ho Jaye

Duniya Hi Badal Jaye Apni
Tera Ek Ishara Ho Jaye

Mana Ki Muhabat Ki Rahon Mein
Har Kadam Pe Sau-Sau Khatre Hain

Lekin Ye Sab Kuch Tal Jaye
Agar Sath Tumhara Ho Jaye

Ankhein Ro Ro Kar Kehti Hain
Daman Ko Bhigokar Kehti Hain

Marne Se Pehle Ek Baar
Deedar Tumhara Ho Jaye
Humare Haathon Mein Ik Shakal Chaand Jaisi Thi
Tumhe Ye Kaise Batayein Vo Raat Kaisi Thi

Mehak Rahe The Mere Honth Uski Khushboo Se
Ajeeb Aag Thi Bilkul Gulab Jaisi Thi

Isi Mein Sab The Meri Maa, Bahan Bhi, Biwi Bhi
Samajh Raha Tha Jise Main Voh Aisi-Vaisi Thi

Tumhare Ghar Ke Sabhi Raston Ko Kaat Gayi
Humare Haath Mein Koi Lakeer Aisi Thi.
Na Jaane Kitne Taare Thar-Thara Ke Toot Jaate Hain
Kabhi Jo Surmagin Aakhon Mein Aansoon Jhilmilate Hain

Ye Sannaata Ki Apni Saans Ki Aahat Nahi Milti
Ye Andhera Ki Yaadon Ke Diye Bhi Bujhte Jaate Hain

Paseene Ke Soonhare Katron Ya Ashkon Ki Ladiyon Se
Apni Doonia Hum Banaate, Hum Sajaate Hain

Har Ek Khit-A-Badan Ubhra Hai Unka Mere Sheron Mein
Unhe Ab Log Ghazalon Se Meri Pehchaan Jaate Hain

Na Jaane In Dino Kyon Subah Kuch Sanvlayi Rehti Hai
Na Jaane Sham Hi Se Kyon Sitare Doob Jaate Hain

Hume Kya, Humko Marna, Humko Jeena Dono Aata Hai
Hume Kya, Hum To Apne Khoon Mein Aksar Nahate Hain
Dulhan Bani Hai Raat Bade Ehtimaam Se
Aansu Saja Rahi Hai Sitaron Ke Naam Se

Sab Log Apne-Apne Gharon Ko Chale Gaye
Neend Aa Gayi Hai Aaj Sitaron Ko Sham Se

Unse Jaroor Milna Saleeke Ke Log Hain
Sir Bhi Kalam Karengein Bade Ehtiraam Se

Kitna Badal Gaya Hoon Main Dunia Ke Vaste
Aawaz De Rahi Hai Mujhe Tere Naam Se
Na Kisi Mukaam Ki Tammna Ab, Na Kisi Theekane Ki Talash
Jo Gham Zindagi Ko Maut De De, Ek Aise Bahane Ki Talash

Na Kisi Apne Ki Aarzoo Ab, Na Kisi Begaane Ki Talash
Main To Phool Hoon Tanhayion Ka, Mujhe Bas Virane Ki Talash

Jahan Door Tak Koi Na Ho, Jahan Hawa Ka Pata Na Ho
Mujhe Door Duniya Se Aise Hi Aashiyane Ki Talash

Jo Tod De Dil Se Dhadkane, Jo Chheen Le Jism Se Jaan Ko
Jo Sanson Ko Meri Rok De, Ab Aise Bahane Ki Talash
Mere Seene Par Voh Sir Rakkhe Huye Sota Raha
Jaane Kya Thi Baat Main Jaga Sa Rota Raha

Waadiyon Mein Kabhi Utra Aur Kabhi Parbat Chadha
Bojh Sa Ik Dil Pe Rakkha Hai Jise Dhota Raha

Kabhi Paani, Kabhi Shabnam Aur Kabhi Khoonab Se
Ek Hi Tha Daag Seene Mein Jise Dhota Raha


Rone Waalon Ne Utha Rakha Tha Ghar Sar Par Magar
Umarbhar Ka Jaagne Wala Pada Sota Raha

Raat Ki Palkon Pe Taaron Ki Tarah Jaga Kya
Subah Ki Aankhon Mein Shabnam Ki Tarah Rota Raha

Roshni Ko Rang Karke Le Gaye Jis Raat Log
Koi Saya Mere Kamre Mein Chhupa Rota Raha
Pyar Ka Behta Dariya Hoon
Sagar Se Milan Bahut Door Raha

Jaane Kaisi Kismat Hai Meri
Milkar Bhi Milne Se Majboor Raha

Chaahat Ki Ujli Raahon Per Bhi
Dil Chaahton Se Bahut Door Raha

Teri Judai Mein Ae Humsafar Mere
Mera Saya Hi Mujhse Door Raha

Mere Dil Ka Dard Bahut Gehra Tha
Tere Pyar Se Bada Mehroom Raha
Unhon Ne Chaha Nahi Halaat Badal Sakte The

Unke Aansu Meri Aankhon Se Nikal Sakte The

Unhon Ne Alfaz Ke Mazmoon Ko Parka Hi Nahi

Narm Lehje Mein To Patthar Bhi Pighal Sakte The

Aur Hum To Thehre Hi Rahe Jheel Ke Pani Ki Tarah

Darya Bante To Bahaut Door Nikal Sakte The
Bewafa Wo Na The, Bewafa Hum Na The

Wo Halaat Hi Kuch Tab Aise The

Isliye Shayad Sath Aaj Hum Na The

Wo Aaj Kisee Aur Ke Hain

Main Aaj Kisi Aur Ka Hun

Hai Sab Kuch Mere Aas Paas Jabh Bhi

Tanha Sa Mahsoos Karta Bhid Me Abh Bhi

Ye Janta Wo Kabhi Na Mere Ho Sakte Jabh Bhi

Na Jaane Kyo Phir Bhi Unhe Paane Ki Aas Hai Abh Bhi

Jitna Uske Yaado Se Dooor Jana Chahta Hun Jabh Bhi

Use Utna Hi Dil Ke Kareeb Pataa Hun Abh Bhi

Milte Hai Aaj Woh Kahin Jabh Bhi

Dil Me Ek Dard Sa Uthta Hai Tabh Bhi

Dhunta Hu Har Shey Me Unko Abh Bhi

Rona To Bahot Chaha Magr Aansu Na Nikle Tabh Bhi
Dil Pe Aise Bhi Azaabon Ko Utarte Dekha
Hum Ne Chup Chap Use Khud Se Bichhadte Dekha

Usko Socha To Har Ek Soch Mein Khushboo Utri
Usko Likha To Har Ek Lafz Mehakte Dekha

Yaad Aa Jaye To Qaboo Nahi Rehta Dil Par Mera
Warna Duniya Ne Na Kabhi Humko Tadapte Dekha

Teri Surat Ko Faqat Aankh Nahi Tarsi Hai
Raaston Ko Bhi Teri Yaad Mein Rote Dekha

Hum Mohabbat Ke Liye Aaj Bhi Deewane Hain
Yeh Alag Baat Hai Ke Tum Ne Nahin Mud Kar Dekha
Pal Bhar Me Ek Saksh Aa Kar Chala Gaya

Viraan Raston Ko Saja Kar Chala Gaya

Hamne Use Pukara Badi Dur Tak Magar

Riste Ke Dayre Wo Mita Kar Chala Gaya

Gahre Sammundaro Me Kahi Door Dosto

Wo Kon Tha Jo Mujhko Baha Kar Chala Gaya
Zindgi Me Teri Yaado Ko Bhula Du Kaise

Raat Baki Hai Chirago Ko Bujha Du Kaise

Kis Tarah Dil Me Tere Apni Tammana Rakh Du

Khwab Apne Teri Aankho Me Saja Du Kaise

Aj Bhi Jin Se Tere lams Ki Khusbu Aye

Un Khato Ko Tere Kehne Se Jala Du Kaise

Dil Ka Hr Naksh Hai Pathar Ki Lakeero Jaisa

Ab Mitana Chaahu To Mita Du Kaise

Wo Mere Paas Hai Main Phir Bhi Hu Tanha-Tanha

Kisi Tasbeer Ko Insan Bana Du Kaise

Friday, September 10, 2010















Kisi Ki Yaad Me Tadapta Hai Ye Dil
Ek Aarzu Liye Dhadkta Hai Ye Dil

Lakho Ho Maikhane Is Sahar Me Lekin
Ek Tere Khyaal Se Behakta Hai Ye Dil

Kisi Ki Yaad Me Tadapta Hai Ye Dil
Ek Aarzu Liye …..

Teri Julf Se Gira Wo Fool,Sine Se Lagaya Maine
Fool Se Zyada Ab Mehakta Hai Ye Dil

Kisi Ki Yaad Me Tadapta Hai Ye Dil
Ek Aarzu Liye ……

Dikhlake Ek Jhalak Jane Wo Kha Kho Gye
Kahan Kahan Na Jane Ab Bhatkta Hai Ye Dil

Kisi Ki Yaad Me Tadapta Hai Ye Dil
Ek Aarzu Liye  ……

Wednesday, September 8, 2010















Kal Mere Hi Kisi Dost Ne Mujh Pr Ungli Uthai Thi

Chaha To Bhot Magar Kal Raat Nind Mujhe Na Aayi Thi

Kis Tarah Berhmi Se Mere Kirdar Ka Katl kiya Yaro

Na Chahte Hue B Meri Aankhe Bhar Aayi Thi

Kitne Pyaar Se Uske Dil Me Dosti ki Jyot Jalai Thi

Kal Hi Wo Din Tha Jab Usne Vo Roshni Bujhai Thi

Ek Vo Thi Jise Jra Sa B Farq Na Pda Humari Khatir

Ek Hum Bekhabr The Jo Humari Jaan Hi Nikal Aayi Thi

Kal Mere Hi Kisi Dost Ne Mujh Pr Ungli Uthai Thi

Chaha To Bhot Magar Kal Raat Nind Mujhe Na Aayi Thi

Wednesday, September 1, 2010














Ik Ladki Hai Jise Mai Bhut Pyaar Dunga !
Khuda Ne Chaha To Khusiya Besumar Dunga!!

Uski Aankho Me Aansu Kabhi Aane Na Dunga !
Uske Dil Ko Sachi Mohabbat Ka Sansar Dunga!!

Uski Sanso Ko Mai Kabhi Rukne Na Dunga !
Apni Sanso Ke Badle Khuda Se Kuch Mohlat To Lunga!!

Mai Mar Gya To Kya Kabhi Use Marne Na dunga !
Ek Ladki Hai Jise Mai Bhut Pyaar Dunga!!

Ik Ladki Hai Jise Mai Bhut Pyaar Dunga !
Khuda Ne Chaha To Khusiya Besumar Dunga!!